mujhe apne bairun ki justuju thi
ki wo aankh se apni dekha tha main ne
jazaer
wo sab reKHta na-rasida jazaer
KHalaon mein bikhre gire
zist-asar ke shaebe jin mein the
ab meri justuju ya hawas ka
hadaf ban gae the
main un ki tamanna liye
dilkash o mast rahon mein
ek umr ghuma kiya
mah-o-anjum ko chuma kya
aur kal sham
baad-az-safar
ba-hazaran zafar
apne bairun ki dastyabi ke
jashn-e-tarab mein
main jab shadman tha
yakayak nigah
andarun ki taraf muD gai
ek shikast-e-ajab zat se juD gai
Nazm
Shikast
Shahram Sarmadi

