sanp soya hua hai baDi der se
sardiyon ki andheri piTari mein kunDal sa lipTa hua
apni iklauti band aankh khole hue
pichhli rut ke kisi bin ke sur se sarshaar
phan ko uThane ke KHwabon se do-chaar hai
sanp ko mat jaga, ai shukhanDi Thahar
sanp ek bar bedar ho kar uTha
to wo aadat se majbur phan ko uThae hue
aane wale kisi sard mausam talak
baizawi banbiyan DhunDhta
ghas mein ja-ba-ja laplapata phirega
Nazm
Sanp ko mat jaga
Satyapal Anand

