KHushi chhuti nahin
dukh basta hai
man musafir hai
jaane kin zamanon ki
tarawat khojne
har pal safar mein rahta hai
banjar sar-zaminon mein
KHunuk chashmon ke
KHwab bo deta hai
tabiren phuTti nahin
dukh ug jata hai
dukh jab ugne lagta hai
man ki sari nami
le leta hai
aaankhon ki nami aur KHwab
donon sukh jate hain
aur dukh
bas jata hai
Nazm
Nazm
Shabnam Ashai

