اردو हिंदी
Mohabbat ki intiha par | Shaahi Shayari
mohabbat ki intiha par

Nazm

Mohabbat ki intiha par

Shariq Kaifi

;

papa
tum mar jao na papa

main tum se nafrat karta hun
kash tum lete ho khansi mujh ko aati hai

dil ke daure tumhein nahin
mujh ko paDte hain

aaKHir kab tak
raat mein uTh kar

light jala kar
dekhunga main sans tumhaari

kab tak meri teacher
mujh ko Tokegi

gum-sum rahne par
kaise batlaun

main kitna Dar jata hun
jab meri rickshaw muDti hai

ghar wale raste par
aaj bhi kam bechain nahin main

moD wo bas aane wala hai
chain paD gaya

aaj bhi mere ghar ke aage bhiD nahin hai
yani

aaj bhi shayad sab kuchh Thik hai ghar mein
yani tum zinda ho papa