main wo tisra hun
jo KHud ko gunahgar mahsus karne ko majbur hota hai
par waqiye mein
har ek hadse ki jagah par
ajab imtihan hai
agar chup rahun to kabutar ko kha jae billi
uDa dun
to billi mujhe kosti hai
ki main ne use aaj faqa karaya
meri haar donon taraf se hai
aur wo bhi is jang mein
jis se mera koi dur ka bhi talluq nahin hai
ba-zahir
Nazm
Majburi
Shariq Kaifi

