اردو हिंदी
Main wapas aaunga | Shaahi Shayari
main wapas aaunga

Nazm

Main wapas aaunga

Shahram Sarmadi

;

ghaar-e-hara-e-shaeri mein
baiThne jata hun main

aur main hisar-e-zat bhi kar ke rakhunga
is hisar-e-zat ke bahar

koi bhi dashta shohrat ki
shahr-nau laga baiThe na apna

dekhte rahna
na karna intizar is ka

ki main taza sahifa lane wala hun
ki har taza sahifa

ek din mansuKH hona hai
use wo mani-o-mafhum khona hai

jo asal muddaa hai
main wapas aaunga

aur main 'kitab-e-zat' ek ham-rah launga
'kitab-e-zat' ki har aayat

insani masail ka bayan hogi
talash-e-hal ke maron ki

umidon ka ziyan hogi
masail jawedan hain

zat ka asal-e-bayan hain
aur farar un se bala hai

aur yahi ramz-e-talash-e-'an-KHuda' hai
aur talash-e-'an-KHuda' aaina-ha-e-zindagi

aur zindagi ghaar-e-hira hai zat-e-insan ki
isi ghaar-e-hira mein jab

mayassar zat aaegi
main wapas aaunga

aur main 'kitab-e-zat' ek ham-rah launga
koi bhi dashta shohrat ki

shahr-e-nau laga baiThe na apna
dekhte rahna