اردو हिंदी
Zindagi ko kar gaya jangal koi | Shaahi Shayari
zindagi ko kar gaya jangal koi

Ghazal

Zindagi ko kar gaya jangal koi

zafar iqbal zafar

;

zindagi ko kar gaya jangal koi
le gaya KHushiyon ka meri pal koi

dhans raha hai har qadam mera yahan
rah mein darpesh hai daldal koi

koi kankar phenkne wala nahin
kaise phir ho jhil mein halchal koi

zindagi thi ek sahra ki tarah
zindagi ko kar gaya jal-thal koi

hosh bhi apna nahin rahta mujhe
kar raha kitna 'zafar' pagal koi