اردو हिंदी
Ye mohabbat ka jo ambar paDa hai mujh mein | Shaahi Shayari
ye mohabbat ka jo ambar paDa hai mujh mein

Ghazal

Ye mohabbat ka jo ambar paDa hai mujh mein

Anjum Saleemi

;

ye mohabbat ka jo ambar paDa hai mujh mein
is liye hai ki mera yar paDa hai mujh mein

chhinT ek uD ke meri aankh mein aai to khula
ek dariya abhi tah-dar paDa hai mujh mein

meri peshani pe us bal ki jagah hai hi nahin
sabr ke sath jo hamwar paDa hai mujh mein

har talluq ko mohabbat se nibha leta hai
dil hai ya koi adakar paDa hai mujh mein

mera daman bhi koi dast-e-hawas khinchta hai
ek mera bhi KHaridar paDa hai mujh mein

kis ne aabaad kiya hai mari virani ko
ishq ne? ishq to bimar paDa hai mujh mein

mere uksane pe main ne mujhe barbaad kiya
main nahin mera gunahgar paDa hai mujh mein

mashwara lene ki naubat hi nahin aa pati
ek se ek samajhdar paDa hai mujh mein

ai barabar se guzarte hue dukh tham to sahi
tujh pe rone ko aza-dar paDa hai mujh mein

mera hona mere hone ki gawahi to nahin
mere aage mera inkar paDa hai mujh mein

bhuk aisi hai ki main KHud ko bhi kha sakta hun
kaisa ye qaht lagatar paDa hai mujh mein