اردو हिंदी
Ye kya tilism hai duniya pe bar guzri hai | Shaahi Shayari
ye kya tilism hai duniya pe bar guzri hai

Ghazal

Ye kya tilism hai duniya pe bar guzri hai

Syed Aabid Ali Aabid

;

ye kya tilism hai duniya pe bar guzri hai
wo zindagi jo sar-e-rahguzar guzri hai

gulon ki gum-shudagi se suragh milta hai
kahin chaman se nasim-e-bahaar guzri hai

kahin sahar ka ujala hua hai ham-nafaso
ki mauj-e-barq sar-e-shaKH-sar guzri hai

raha hai ye sar-e-shorida misl-e-shola buland
agarche mujh pe qayamat hazar guzri hai

ye hadisa bhi hua hai ki ishq-e-yar ki yaad
dayar-e-qalb se begana-war guzri hai

unhin ko arz-e-wafa ka tha ishtiyaq bahut
unhin ko arz-e-wafa na-gawar guzri hai

harim-e-shauq mahakta hai aaj tak 'abid'
yahan se nikhat-e-gesu-e-yar guzri hai