اردو हिंदी
Ye kya tahrir pagal likh raha hai | Shaahi Shayari
ye kya tahrir pagal likh raha hai

Ghazal

Ye kya tahrir pagal likh raha hai

Zafar Sahbai

;

ye kya tahrir pagal likh raha hai
har ek pyase ko baadal likh raha hai

na ro gustaKH beTe ke amal par
tera guzra hua kal likh raha hai

paDho har mauj aayat ki tarah hai
wo dariya par musalsal likh raha hai

thame pani ko tabdili mubarak
hawa ka hath halchal likh raha hai

tujhe chhuna nirala tajraba tha
wo jhuTa hai jo maKHmal likh raha hai

bana kar shahr ka naqsha wo bachcha
baDe harfon mein jangal likh raha hai

KHuda-e-amn jo kahta hai KHud ko
zamin par KHud hi maqtal likh raha hai