اردو हिंदी
Ye hadsa bhi tere shahr mein hua hoga | Shaahi Shayari
ye hadsa bhi tere shahr mein hua hoga

Ghazal

Ye hadsa bhi tere shahr mein hua hoga

Kafeel Aazar Amrohvi

;

ye hadsa bhi tere shahr mein hua hoga
tamam shahr mujhe DhunDhta phira hoga

main is KHayal se aksar udas rahta hun
koi judai ki sadiyan guzarta hoga

chalo ki shahr ki saDken kahin na so jaen
ab is ujaD haweli mein kya rakha hoga

tumhaari bazm se nikle to hum ne ye socha
zamin se chand talak kitna fasla hoga

zara si der ko sone se faeda 'azar'
tumhein to roz isi tarah jagna hoga