اردو हिंदी
Wahi taj hai wahi taKHt hai wahi zahr hai wahi jam hai | Shaahi Shayari
wahi taj hai wahi taKHt hai wahi zahr hai wahi jam hai

Ghazal

Wahi taj hai wahi taKHt hai wahi zahr hai wahi jam hai

Bashir Badr

;

wahi taj hai wahi taKHt hai wahi zahr hai wahi jam hai
ye wahi KHuda ki zamin hai ye wahi buton ka nizam hai

baDe shauq se mera ghar jala koi aanch tujh pe na aaegi
ye zaban kisi ne KHarid li ye qalam kisi ka ghulam hai

yahan ek bachche ke KHun se jo likha hua hai use paDhen
tera kirtan abhi pap hai abhi mera sajda haram hai

main ye manta hun mere diye teri aandhiyon ne bujha diye
magar ek jugnu hawaon mein abhi raushni ka imam hai

mere fikr-o-fan teri anjuman na uruj tha na zawal hai
mere lab pe tera hi nam tha mere lab pe tera hi nam hai