اردو हिंदी
Tumhein hum chahte to hain magar kya | Shaahi Shayari
tumhein hum chahte to hain magar kya

Ghazal

Tumhein hum chahte to hain magar kya

Bekhud Dehlvi

;

tumhein hum chahte to hain magar kya
mohabbat kya mohabbat ka asar kya

wafa ka nam to pichhe liya hai
kaha tha tum ne is se peshtar kya

hazaron bar bigDe raat bhar mein
nibhegi tum se apni umr bhar kya

nazar milti nahin uThti nahin aankh
koi puchhe ki hai madd-e-nazar kya

shikayat sun ke wo 'beKHud' se bole
tujhe ai be-KHabar meri KHabar kya