اردو हिंदी
Talafi wafa ki jafa chahta hun | Shaahi Shayari
talafi wafa ki jafa chahta hun

Ghazal

Talafi wafa ki jafa chahta hun

Zaheer Dehlvi

;

talafi wafa ki jafa chahta hun
tumhin KHud ye kah do bura chahta hun

koi mol le to bika chahta hun
main sahab se banda hua chahta hun

tumhin chaho mujh ko to kya chahiye phir
main is ke siwa aur kya chahta hun

mera muddaa kya samajhte nahin ho
tumhein chahta hun to kya chahta hun

masiha ho gar tum to apne liye ho
main apne maraz ki dawa chahta hun

tumhein chahun main tum raqibon ko chaho
ye insaf pesh-e-KHuda chahta hun