اردو हिंदी
Sitare ka raaz rakh liya mehman maine | Shaahi Shayari
sitare ka raaz rakh liya mehman maine

Ghazal

Sitare ka raaz rakh liya mehman maine

Jamal Ehsani

;

sitare ka raaz rakh liya mehman main ne
ek ujle KHwab aur aankh ke darmiyan main ne

chaDha hai jab chand aasman par to bojh utra
suna di har sone wale ko dastan main ne

tamam tesha-ba-dast hairat mein gum hue hain
charagh se kaT di hawa ki chaTan main ne

main dhup mein kyun kisi ka ehsanmand hota
KHud apne sae ko kar liya saeban main ne

'jamal' har shahr se hai pyara wo shahr mujh ko
jahan se dekha tha pahli bar aasman main ne