اردو हिंदी
Sar-e-sahra musafir ko sitara yaad rahta hai | Shaahi Shayari
sar-e-sahra musafir ko sitara yaad rahta hai

Ghazal

Sar-e-sahra musafir ko sitara yaad rahta hai

Adeem Hashmi

;

sar-e-sahra musafir ko sitara yaad rahta hai
main chalta hun mujhe chehra tumhaara yaad rahta hai

tumhaara zarf hai tum ko mohabbat bhul jati hai
hamein to jis ne hans kar bhi pukara yaad rahta hai

mohabbat mein jo Duba ho use sahil se kya lena
kise is bahr mein ja kar kinara yaad rahta hai

bahut lahron ko pakDa Dubne wale ke hathon ne
yahi bas ek dariya ka nazara yaad rahta hai

sadaen ek si yaksaniyat mein Dub jati hain
zara sa muKHtalif jis ne pukara yaad rahta hai

main kis tezi se zinda hun main ye to bhul jata hun
nahin aana hai duniya mein dobara yaad rahta hai