اردو हिंदी
Sar-burida hua muqabil hai | Shaahi Shayari
sar-burida hua muqabil hai

Ghazal

Sar-burida hua muqabil hai

zafar iqbal zafar

;

sar-burida hua muqabil hai
sab ki aankhon mein KHauf shamil hai

tha muhafiz kabhi yahi insan
aaj insaniyat ka qatil hai

bastiyan phunkna jalana ghar
kya yahi aadmi ka hamil hai

waqt kab us ka sath deta hai
rose farda se jo ki ghafil hai

jis ne baKHsha tha zindagi ko farogh
ab wo dahshat-garon mein shamil hai