اردو हिंदी
Sansar ki har shai ka itna hi fasana hai | Shaahi Shayari
sansar ki har shai ka itna hi fasana hai

Ghazal

Sansar ki har shai ka itna hi fasana hai

Sahir Ludhianvi

;

sansar ki har shai ka itna hi fasana hai
ek dhund se aana hai ek dhund mein jaana hai

ye rah kahan se hai ye rah kahan tak hai
ye raaz koi rahi samjha hai na jaana hai

ek pal ki palak par hai Thahri hui ye duniya
ek pal ke jhapakne tak har khel suhana hai

kya jaane koi kis par kis moD par kya bite
is rah mein ai rahi har moD bahana hai

hum log khilauna hain ek aise khilaDi ka
jis ko abhi sadiyon tak ye khel rachana hai