اردو हिंदी
Pan ban ban ke meri jaan kahan jate hain | Shaahi Shayari
pan ban ban ke meri jaan kahan jate hain

Ghazal

Pan ban ban ke meri jaan kahan jate hain

Zaheer Dehlvi

;

pan ban ban ke meri jaan kahan jate hain
ye mere qatl ke saman kahan jate hain

sar agar jae to jae magar ai KHanjar-e-yar
sar se apne tere ehsan kahan jate hain

baad marne ke bhi miTTi meri barbaad rahi
meri taqdir ke nuqsan kahan jate hain

haal khulta nahin in KHwesh-faramoshon ka
roz ke roz ye mehman kahan jate hain

kis ki aashufta-mizaji ka KHayal aaya hai
aap hairan pareshan kahan jate hain

aaj kis munh se meri dil-shikani hoti hai
aaj wo aap ke mehman kahan jate hain

ai 'zahir' ab ye khula haal baDi dur hain aap
aap jate hain jahan dhyan kahan jate hain