اردو हिंदी
Nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha | Shaahi Shayari
nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha

Ghazal

Nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha

Ahmad Faraz

;

nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha
mujh par ye zulm bar-e-digar bhi usi ka tha

dekha mujhe to tark-e-talluq ke bawajud
wo muskura diya ye hunar bhi usi ka tha

aankhen kushad-o-bast se badnam ho gain
suraj usi ka KHwab-e-sahar bhi usi ka tha

KHanjar-dar-astin hi mila jab kabhi mila
wo tegh khinchta to ye sar bhi usi ka tha

nishtar chubhe hue the rag-e-jaan ke aas-pas
wo chaaragar tha aur mujhe Dar bhi usi ka tha

mahfil mein kal 'faraaz' hi shayad tha lab-kusha
maqtal mein aaj kasa-e-sar bhi usi ka tha