اردو हिंदी
Nasihat-garo dil lagaya to hota | Shaahi Shayari
nasihat-garo dil lagaya to hota

Ghazal

Nasihat-garo dil lagaya to hota

Zaheer Dehlvi

;

nasihat-garo dil lagaya to hota
kabhi KHanjar-e-ishq khaya to hota

na aata ki aata shikayat na rahti
mujhe anjuman mein bulaya to hota

na manunga naseh ki dil par hai qabu
laga kar kisi se dikhaya to hota

ye mana adu par hai mailan-e-KHatir
koi roz us ko sataya to hota

na aate to KHanjar hi wo bhej dete
ki hum ne gale se lagaya to hota

meri saKHt-jaani ke shikwe baja the
kabhi dast-e-nazuk uThaya to hota

'zahir' aaj dawa hai jin ko zaban ka
suKHan apna un ko sunaya to hota