اردو हिंदी
Nafas ke loch mein ram hi nahin kuchh aur bhi hai | Shaahi Shayari
nafas ke loch mein ram hi nahin kuchh aur bhi hai

Ghazal

Nafas ke loch mein ram hi nahin kuchh aur bhi hai

Sahir Ludhianvi

;

nafas ke loch mein ram hi nahin kuchh aur bhi hai
hayat saghar-e-sam hi nahin kuchh aur bhi hai

teri nigah mere gham ki pasdar sahi
meri nigah mein gham hi nahin kuchh aur bhi hai

meri nadim mohabbat ki rifaton se na gir
buland baam-e-haram hi nahin kuchh aur bhi hai

ye ijtinab hai aks-e-shuur-e-mahbubi
ye ehtiyat-e-sitam hi nahin kuchh aur bhi hai

idhar bhi ek uchaTti nazar ki duniya mein
farogh-e-mahfil-e-jam hi nahin kuchh aur bhi hai

nae jahan basae hain fikr-e-adam ne
ab is zamin pe iram hi nahin kuchh aur bhi hai

mere shuur ko aawara kar diya jis ne
wo marg-e-shadi-o-gham hi nahin kuchh aur bhi hai