muzmahil hone pe bhi KHud ko jawan rakhte hain hum
ek sar hai jis pe saton aasman rakhte hain hum
hum gareban-chaak logon ko tahi-daman na jaan
le qimar-e-ashiqi mein naqd-e-jaan rakhte hain hum
koi to aaKHir chala aaega pursish ke liye
tu na aaega to marg-e-na-gahan rakhte hain hum
ehtiram-e-gham se hain sukhe jaziron ki tarah
warna in aankhon mein bahr-e-be-karan rakhte hain hum
ishq mein zauq-e-takallum hai halakat-afrin
aarzu bhi ehtiyatan be-zaban rakhte hain hum
mah-washon ke aarizon mein dekhte hain apna aks
allah allah apna saya bhi kahan rakhte hain hum
lakh hon phaili hui manzil-ba-manzil zulmaten
sath apne mashal-e-husn-e-butan rakhte hain hum
Ghazal
Muzmahil hone pe bhi KHud ko jawan rakhte hain hum
Zaheer Kashmiri

