muddaton hum ne gham sambhaale hain
ab teri yaad ke hawale hain
zindagi ke hasin chehre par
gham ne kitne hijab Dale hain
kuchh gham-e-zist ka shikar hue
kuchh masiha ne mar Dale hain
rah-guzar-e-hayat mein hum ne
KHud nae raste nikale hain
ai shab-e-gham zara sambhaal ke rakh
hum teri subh ke ujale hain
zauq-e-khud-agahi ne ai 'qabil'
kitne but-KHane toD Dale hain
Ghazal
Muddaton humne gham sambhaale hain
Qabil Ajmeri