اردو हिंदी
Mere KHuda mujhe wo tab-e-nai-nawai de | Shaahi Shayari
mere KHuda mujhe wo tab-e-nai-nawai de

Ghazal

Mere KHuda mujhe wo tab-e-nai-nawai de

Obaidullah Aleem

;

mere KHuda mujhe wo tab-e-nai-nawai de
main chup rahun bhi to naghma mera sunai de

gada-e-ku-e-suKHan aur tujh se kya mange
yahi ki mamlikat-e-sher ki KHudai de

nigah-e-dahr mein ahl-e-kamal hum bhi hon
jo likh rahe hain wo duniya agar dikhai de

chhalak na jaun kahin main wajud se apne
hunar diya hai to phir zarf-e-kibriyai de

mujhe kamal-e-suKHan se nawazne wale
samaaton ko bhi ab zauq-e-ashnai de

numu-pazir hai ye shola-e-nawa to ise
har aane wale zamane ki peshwai de

koi kare to kahan tak kare masihai
ki ek zaKHm bhare dusra duhai de

main ek se kisi mausam mein rah nahin sakta
kabhi visal kabhi hijr se rihai de

jo ek KHwab ka nashsha ho kam to aankhon ko
hazar KHwab de aur jurat-e-rasai de