اردو हिंदी
Kya KHala aasman tha pahle | Shaahi Shayari
kya KHala aasman tha pahle

Ghazal

Kya KHala aasman tha pahle

Vishal Khullar

;

kya KHala aasman tha pahle
kis ki surat pe dhyan tha pahle

dil jo ab shor karta rahta hai
kis qadar be-zaban tha pahle

tu jise karwan samajhta hai
us pe mera nishan tha pahle

jis jagah raushni Tapakti hai
wan hawa ka guman tha pahle

chup si kyun lag gai hai 'khullar' ko
kitna jadu-bayan tha pahle