اردو हिंदी
Kaniz-e-waqt ko nilam kar diya sab ne | Shaahi Shayari
kaniz-e-waqt ko nilam kar diya sab ne

Ghazal

Kaniz-e-waqt ko nilam kar diya sab ne

zafar iqbal zafar

;

kaniz-e-waqt ko nilam kar diya sab ne
ye wahm kya hai baDa kaam kar diya sab ne

koi bhi shaKHs sehat-mand kya nazar aae
munafarat ka sabaq aam kar diya sab ne

mili na jab unhen tabir apne KHwabon ki
phir apni aankhon ko nilam kar diya sab ne

bura samajh ke buzurgon ne jis ko chhoDa tha
wo kar-e-bad KHush-anjam diya sab ne

har ek sach ko to mansub kar liya KHud se
tamam jhuT mere nam kar diya sab ne

jo apne ahd ko sachchai banTta tha 'zafar'
us ek shaKHs ko badnam kar diya sab ne