اردو हिंदी
Ghubar-e-dasht-e-yaksani se nikla | Shaahi Shayari
ghubar-e-dasht-e-yaksani se nikla

Ghazal

Ghubar-e-dasht-e-yaksani se nikla

Kashif Husain Ghair

;

ghubar-e-dasht-e-yaksani se nikla
ye rasta meri be-dhyani se nikla

na hum wahshat mein apne ghar se nikle
na sahra apni virani se nikla

na nikla kaam koi zabt-e-gham se
na ashkon ki farawani se nikla

na aankhen hi huin gharqab-e-dariya
na koi aks hi pani se nikla

udhar nikli wo KHushbu shahr-e-gul se
idhar main bagh-e-virani se nikla

hua gharqab shahr-e-jaan to ye dil
ye dariya apni tughyani se nikla

jo nikla sham-e-dasht-e-karbala se
sitara KHanda-peshani se nikla