اردو हिंदी
Charagh-e-zindagi hoga farozan hum nahin honge | Shaahi Shayari
charagh-e-zindagi hoga farozan hum nahin honge

Ghazal

Charagh-e-zindagi hoga farozan hum nahin honge

Abdul Majeed Salik

;

charagh-e-zindagi hoga farozan hum nahin honge
chaman mein aaegi fasl-e-bahaaran hum nahin honge

jawano ab tumhaare hath mein taqdir-e-alam hai
tumhin hoge farogh-e-bazm-e-imkan hum nahin honge

jiyenge jo wo dekhenge bahaaren zulf-e-jaanan ki
sanware jaenge gesu-e-dauran hum nahin honge

hamare Dubne ke baad ubhrenge nae tare
jabin-e-dahr par chhaTkegi afshan hum nahin honge

na tha apni hi qismat mein tulu-e-mehr ka jalwa
sahar ho jaegi sham-e-ghariban hum nahin honge

agar mazi munawwar tha kabhi to hum na the hazir
jo mustaqbil kabhi hoga daraKHshan hum nahin honge

hamare daur mein Dalin KHirad ne uljhanen lakhon
junun ki mushkilen jab hongi aasan hum nahin honge

kahin hum ko dikha do ek kiran hi TimTimati si
ki jis din jagmagaega shabistan hum nahin honge

hamare baad hi KHun-e-shahidan rang laega
yahi surKHi banegi zeb-e-unwan hum nahin honge