اردو हिंदी
Apne pahle makan tak ho aaun | Shaahi Shayari
apne pahle makan tak ho aaun

Ghazal

Apne pahle makan tak ho aaun

Akhtar Usman

;

apne pahle makan tak ho aaun
main zara aasman tak ho aaun

koi paikar pukarta hai mujhe
samne ki chaTan tak ho aaun

jhaDta jata hai jism roz-ba-roz
kuza-gar ki dukan tak ho aaun

sehr-e-tashkik! ab rihai de
main koi dam guman tak ho aaun

waqt ab dastaras mein hai 'aKHtar'
ab to main jis jahan tak ho aaun