aap se chuk ho gai shayad
aap aur mujh pe mehrban kya KHu
Unwan Chishti
husn hi to nahin betab-e-numaish 'unwan'
ishq bhi aaj nai jalwagari mange hai
Unwan Chishti
is kar-e-numayan ke shahid hain chaman wale
gulshan mein bahaaron ko lae the hamin pahle
Unwan Chishti
ishq phir ishq hai aashufta-sari mange hai
hosh ke daur mein bhi jama-dari mange hai
Unwan Chishti
kuchh to batao ai farzano diwanon par kya guzri
shahr-e-tamanna ki galiyon mein barpa hai kohram bahut
Unwan Chishti
main kis tarah tujhe ilzam-e-bewafai dun
rah-e-wafa mein tere naqsh-e-pa bhi milte hain
Unwan Chishti
meri samajh mein aa gaya har ek raaz-e-zindagi
jo dil pe choT paD gai to dur tak nazar gai
Unwan Chishti
pareshan ho ke dil tark-e-talluq par hai aamada
mohabbat mein ye surat bhi na ras aai to kya hoga
Unwan Chishti
wo hadse bhi dahr mein hum par guzar gae
jine ki aarzu mein kai bar mar gae
Unwan Chishti