aasmanon se farishte jo utare jaen
wo bhi is daur mein sach bolen to mare jaen
Ummeed Fazli
ai dopahar ki dhup bata kya jawab dun
diwar puchhti hai ki saya kidhar gaya
Ummeed Fazli
chaman mein rakhte hain kanTe bhi ek maqam ai dost
faqat gulon se hi gulshan ki aabru to nahin
Ummeed Fazli
gar qayamat ye nahin hai to qayamat kya hai
shahr jalta raha aur log na ghar se nikle
Ummeed Fazli
ghar to aisa kahan ka tha lekin
dar-ba-dar hain to yaad aata hai
Ummeed Fazli
jaane kab tufan bane aur rasta rasta bichh jae
band bana kar so mat jaana dariya aaKHir dariya hai
Ummeed Fazli
jaane kis moD pe le aai hamein teri talab
sar pe suraj bhi nahin rah mein saya bhi nahin
Ummeed Fazli
jab se 'ummid' gaya hai koi!!
lamhe sadiyon ki alamat Thahre
Ummeed Fazli
maqtal-e-jaan se ki zindan se ki ghar se nikle
hum to KHushbu ki tarah nikle jidhar se nikle
Ummeed Fazli