ek sae ki talab mein zindagi pahunchi yahan
dur tak phaila hua hai mujh mein manzar dhup ka
Tufail Chaturvedi
hum buzurgon ki riwayat se juDe hain bhai
nekiyan kar ke kabhi phal nahin manga karte
Tufail Chaturvedi
har taraf phaila hua be-samt be-manzil safar
bhiD mein rahna magar KHud ko akela dekhna
Tufail Chaturvedi
kabhi zamana tha us ki talab mein rahte the
aur ab ye haal hai KHud ko usi se mangte hain
Tufail Chaturvedi
nafraton ka aks bhi paDne na dena zehan par
ye andhera jaane kitnon ka ujala kha gaya
Tufail Chaturvedi
sabhi zaKHmon ke Tanke khul gae hain
hamein hansna bahut mahnga paDa hai
Tufail Chaturvedi
safar anjam tak pahunche to kaise
main apne raste mein KHud khaDa hun
Tufail Chaturvedi
us ke wade ke ewaz de Dali apni zindagi
ek sasti shai ka unche bhaw sauda kar liya
Tufail Chaturvedi
wo mausamon par uchhaalta hai sawal kitne
kabhi to yun ho ki aasman se jawab barse
Tufail Chaturvedi