achchha hai ki sirf ishq kije
ye umr to yun bhi raegan hai
Tauseef Tabassum
dekhne wali agar aankh ko pahchan saken
rang KHud parda-e-taswir se bahar ho jaen
Tauseef Tabassum
dil bayaz-e-umr ki auraq-gardani mein hai
kya KHabar hai kaun sa safha khula rah jaega
Tauseef Tabassum
dil ki bazi haar ke roe ho to ye bhi sun rakkho
aur abhi tum pyar karoge aur abhi pachhtaoge
Tauseef Tabassum
dukh jhelo to ji kaDa hi rakhna
dil hai to hisab-e-dostan hai
Tauseef Tabassum
jo bhi narmi hai KHayalon mein na hone se hai
KHwab aankhon se nikal jaen to patthar ho jaen
Tauseef Tabassum
kaun se dukh ko palle bandhen kis gham ko tahrir karen
yan to dard siwa hota hai aur bhi arz-e-haal ke baad
Tauseef Tabassum
kya ye sach hai ki KHizan mein bhi chaman khilte hain
mere daman mein lahu hai to mahakta kya hai
Tauseef Tabassum
panw mein lipTi hui hai sab ke zanjir-e-ana
sab musafir hain yahan lekin safar mein kaun hai
Tauseef Tabassum