abhi is rah se koi gaya hai
kahe deti hai shoKHi naqsh-e-pa ki
Taskeen Dehlavi
itni na kije jaane ki jaldi shab-e-visal
dekhe hain main ne kaam bigaDte shitab mein
Taskeen Dehlavi
jis waqt nazar paDti hai us shoKH pe 'taskin'
kya kahiye ki ji mein mere kya kya nahin hota
Taskeen Dehlavi
karta hun teri zulf se dil ka mubaadala
har-chand jaanta hun ye sauda bura nahin
Taskeen Dehlavi
KHub-surat na ho koi to na ho badnami
sach to ye hai ki bura hota hai achchha hona
Taskeen Dehlavi
puchhe jo tujh se koi ki 'taskin' se kyun mila
kah dijo haal dekh ke rahm aa gaya mujhe
Taskeen Dehlavi
shab-e-visal mein sunna paDa fasana-e-ghair
samajhte kash wo apna na raazdar mujhe
Taskeen Dehlavi
'taskin' ne nam le ke tera waqt-e-marg aah
kya jaane kya kaha tha kisi ne suna nahin
Taskeen Dehlavi
taskin' karun kya dil-e-muztar ka ilaj ab
kam-baKHt ko mar kar bhi to aaram na aaya
Taskeen Dehlavi