dukhon ke rup bahut aur sukhon ke KHwab bahut
tera karam hai bahut par mere azab bahut
Tanveer Anjum
dur tak ye raste KHamosh hain
dur tak hum KHud ko sunte jaenge
Tanveer Anjum
fareb-e-qurb-e-yar ho ki hasrat-e-supurdagi
kisi sabab se dil mujhe ye be-qarar chahiye
Tanveer Anjum
gham-e-zamana jab na ho gham-e-wajud DhunD lun
ki ek zamin-e-jaan jo hai wo daghdar chahiye
Tanveer Anjum
is KHubi-e-qismat pe mujhe naz bahut hai
wo shaKHs meri jaan ka talabgar hua hai
Tanveer Anjum
lamha-e-imkan ko pahlu badalte dekhna
aatish-e-be-rang mein KHud ko pighalte dekhna
Tanveer Anjum
mujhe aziz hai be-ehtiyati-e-sada
na shauq hai na hunar us ko aazmane ka
Tanveer Anjum
shahron ke sare jangal gunjaan ho gae hain
phir log mere andar sunsan ho gae hain
Tanveer Anjum
TuTi hai ye kashti to mere sath safar ko
wo jaan-e-masafat mera tayyar hua hai
Tanveer Anjum