aksar mere sheron ki sana karte rahe hain
wo log jo ghaalib ke taraf-dar nahin hain
Taleef Haidar
inkar bhi karne ka bahana nahin milta
iqrar bhi karne ka maza dekh rahe hain
Taleef Haidar
is tarah tujhe ishq kiya hai ki ye duniya
hum ko hi kahin ishq ka hasil na bana de
Taleef Haidar
KHirad nahin hai yahan bas junun ka sauda
hum is junun se aage makan banate hain
Taleef Haidar
KHuda wajud mein hai aadmi ke hone se
aur aadmi ka tasalsul KHuda se qaem hai
Taleef Haidar
kis ki aaankhon ka nasha hai ki mere honTon ko
is qadar tar nahin kar sakti bala-noshi bhi
Taleef Haidar
safar hi bas kar-e-zindagi hai
azab kya hai sawab kya hai
Taleef Haidar
to kyun is bar us ne mere aage sar jhukaya hai
use to aaj bhi mushkil na tha inkar kar dena
Taleef Haidar
use kahan hamein qaidi bana ke rakhna tha
hamin ko shauq nahin tha kabhi rihai ka
Taleef Haidar