aah us ki be-kasi tu na jis ke sath ho
hae us ki bandagi jis ka tu KHuda nahin
Tajvar Najibabadi
ardasht dard-e-ishq ki dushwar ho gai
ab zindagi bhi jaan ka aazar ho gai
Tajvar Najibabadi
dil ke pardon mein chhupaya hai tere ishq ka raaz
KHalwat-e-dil mein bhi parda nazar aata hai mujhe
Tajvar Najibabadi
gham-e-mohabbat mein dil ke daghon se ru-kash-e-lala-zar hun main
faza bahaarin hai jis ke jalwon se wo harif-e-bahaar hun main
Tajvar Najibabadi
jins-e-hunar mazaq-e-KHaridar dekh kar
KHud be-niyaz chashm-e-KHaridar ho gai
Tajvar Najibabadi
kahin ruswa na hon ranginiyan dard-e-mohabbat ki
mera itna KHayal ai dida-e-KHun-bar kar lena
Tajvar Najibabadi
KHuda mujh ko tujh se hi mahrum kar de
jo kuchh aur tere siwa chahta hun
Tajvar Najibabadi
nazar bhar ke jo dekh sakte hain tujh ko
main un ki nazar dekhna chahta hun
Tajvar Najibabadi
uf wo nazar ki sab ke liye dil-nawaz hai
meri taraf uThi to talwar ho gai
Tajvar Najibabadi