hum duniya se jab tang aaya karte hain
apne sath ek sham manaya karte hain
Taimur Hasan
KHushi zarur thi 'taimur' din nikalne ki
magar ye gham bhi siwa tha ki raat bit gai
Taimur Hasan
main ne baKHsh di teri kyun KHata tujhe ilm hai
tujhe di hai kitni kaDi saza tujhe ilm hai
Taimur Hasan
makan se hoga kabhi la-makan se hoga
mera ye marka donon jahan se hoga
Taimur Hasan
meri tawajjoh faqat mere kaam par rahegi
main KHud ko sabit karunga dawa nahin karunga
Taimur Hasan
phir jo karne laga hai tu wada
kya mukarne ka phir irada hai
Taimur Hasan
safar mein hoti hai pahchan kaun kaisa hai
ye aarzu thi mere sath tu safar karta
Taimur Hasan
suraj ke us jaanib basne wale log
aksar hum ko pas bulaya karte hain
Taimur Hasan
tujhe main apna nahin samajhta isi liye to
zamane tujh se main koi shikwa nahin karunga
Taimur Hasan