ahaar ab ke jo guzri to phir na aaegi
bichhaDne wale bichhaDte samay ye kah gae hain
Tahseen Firaqi
main jin galiyon mein paiham barsar-e-gardish raha hun
main un galiyon mein itna KHar pahle kab hua tha
Tahseen Firaqi
main kahan aur kahan shaeri main ne to faqat
majlis-e-sher bapa ki to tumhaare liye ki
Tahseen Firaqi
mujh sa anjaan kisi moD pe kho sakta hai
hadsa koi bhi is shahr mein ho sakta hai
Tahseen Firaqi
phir us ki yaad ne dastak dil-e-hazin par di
phir aansuon mein nihan us ke KHad-o-KHal hue
Tahseen Firaqi
sath-e-dariya ka ye saffak sukun hai dhoka
ye teri naw kisi waqt Dubo sakta hai
Tahseen Firaqi
ye tai hua hai ki sher o adab ke paimane
hamare shahr ka ek yak-fana hi tai karega
Tahseen Firaqi