agar phulon ki KHwahish hai to sun lo
kisi ki rah mein kanTe na rakhna
Tabish Mehdi
ajnabi raston par bhaTakte rahe
aarzuon ka ek qafila aur main
Tabish Mehdi
der tak mil ke rote rahe rah mein
un se baDhta hua fasla aur main
Tabish Mehdi
farishton mein bhi jis ke tazkire hain
wo tere shahr mein ruswa bahut hai
Tabish Mehdi
hum ko KHabar hai shahr mein us ke sang-e-malamat milte hain
phir bhi us ke shahr mein jaana kitna achchha lagta hai
Tabish Mehdi
mere aibon ko ginwaya to sab ne
kisi ne meri gham-KHwari nahin ki
Tabish Mehdi
paDosi ke makan mein chhat nahin hai
makan apne bahut unche na rakhna
Tabish Mehdi
takoge rah sahaaron ki tum miyan kab tak
qadam uThao ki taqdir intizar mein hai
Tabish Mehdi
ye mana wo shajar sukha bahut hai
magar us mein abhi saya bahut hai
Tabish Mehdi