ab ek rumal mere sath ka hai
jo meri walida ke hath ka hai
Syed Zameer Jafri
ahan ki iltija man ki mohabbat sath chalti hai
wafa-e-dostan bahr-e-mashaqqat sath chalti hai
Syed Zameer Jafri
chiz milti hai zarf ki had tak
apna chamcha baDa kare koi
Syed Zameer Jafri
dard mein lazzat bahut ashkon mein ranai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniya pasand aai bahut
Syed Zameer Jafri
hans magar hansne se pahle soch le
ye na ho phir umr bhar rona paDe
Syed Zameer Jafri
hum ne kitne dhoke mein sab jiwan ki barbaadi ki
gal pe ek til dekh ke un ke sare jism se shadi ki
Syed Zameer Jafri
hazrat-e-iqbaal ka shahin to hum se uD chuka
ab koi apna maqami jaanwar paida karo
Syed Zameer Jafri
main batata hun zawal-e-ahl-e-europe ka plan
ahl-e-europe ko musalmanon ke ghar paida karo
Syed Zameer Jafri
shauq se laKHt-e-jigar nur-e-nazar paida karo
zalimo thoDi si gandum bhi magar paida karo
Syed Zameer Jafri