ahrman ka raqs-e-wahshat har gali har moD par
barbariyyat dekh kar hai KHud qaza sahmi hui
Syed Shakeel Desnavi
gard-e-safar ke sath tha wabasta intizar
ab to kahin ghubar bhi baqi nahin raha
Syed Shakeel Desnavi
maut ke KHunKHar panjon mein sisakti hai hayat
aaj hai insaniyat ki har ada sahmi hui
Syed Shakeel Desnavi
phir koi choT ubhri dil mein kasak si jagi
yaadon ki aaj shayad purwai chal rahi hai
Syed Shakeel Desnavi
ishta raha ajib mera zindagi ke sath
chalta ho jaise koi kisi ajnabi ke sath
Syed Shakeel Desnavi
'shakil' hijr ke zinon pe ruk gain yaaden
isi maqam par aa kar Thahar gai shab bhi
Syed Shakeel Desnavi
us se bachhDa to yun laga jaise
koi mujh mein bikhar gaya saha
Syed Shakeel Desnavi