apne liye bhi koi riayat rawa nahin
is munsifi ki KHu ne to saffak kar diya
Syed Anwar Ahmad
oli lagi mata-e-hunar ki to ahl-e-fan
jaldi mein apne KHwab bhi nilam kar gae
Syed Anwar Ahmad
faqih-e-shahr se kuchh KHas dushmani to nahin
faqih-e-shahr se lekin Thani si rahti hai
Syed Anwar Ahmad
in se aawaz-e-karb aati hai
zard patton pe mat chale koi
Syed Anwar Ahmad
is pal do pal ki hasti mein
kya tera hai kya mera hai
Syed Anwar Ahmad
kuchh marke hamare bhi hum tak hi rah gae
gumnam ek sipahi ki KHidmat ki tarah
Syed Anwar Ahmad
wo mujh se puchhne laga mere sawal ab
aur main bhi de raha hun jo is ke jawab the
Syed Anwar Ahmad