dekho to har ek shaKHs ke hathon mein hain patthar
puchho to kahin shahr banane ke liye hai
Suhail Ahmed Zaidi
do panw hain jo haar ke ruk jate hain
ek sar hai jo diwar se Takraata hai
Suhail Ahmed Zaidi
hum haar to jate hi ki dushman ke hamare
sau pair the sau hath the ek sar hi nahin tha
Suhail Ahmed Zaidi
hum ne to mund lin aankhen hi teri did ke baad
bul-hawas jaante hain koi hasin kitna hai
Suhail Ahmed Zaidi
har subh apne ghar mein usi waqt jagna
aazad log bhi to giraftar se rahe
Suhail Ahmed Zaidi
ek mauj-e-fana thi jo roke na ruki aaKHir
diwar bahut khinchi darban bahut rakkha
Suhail Ahmed Zaidi
kabhi to lagta hai gumrah kar gai mujh ko
suKHan-wari kabhi paighambari si lagti hai
Suhail Ahmed Zaidi
peD uncha hai magar zer-e-zamin kitna hai
lab pe hai nam-e-KHuda dil mein yaqin kitna hai
Suhail Ahmed Zaidi