aage aage koi mishal si liye chalta tha
hae kya nam tha us shaKHs ka puchha bhi nahin
Shaz Tamkanat
ek raat aap ne ummid pe kya rakkha hai
aaj tak hum ne charaghon ko jala rakkha hai
Shaz Tamkanat
kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein
lahu ka silsila paiham raha hai aankhon mein
Shaz Tamkanat
kitab-e-husn hai tu mil khuli kitab ki tarah
yahi kitab to mar mar ke main ne azbar ki
Shaz Tamkanat
koi to aa ke rula de ki hans raha hun main
bahut dinon se KHushi ko taras raha hun main
Shaz Tamkanat
mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye
tu dost hai to nasihat na kar KHuda ke liye
Shaz Tamkanat
shab o roz jaise Thahar gae koi naz hai na niyaz hai
tere hijr mein ye pata chala meri umr kitni daraaz hai
Shaz Tamkanat
suKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai
ghazal kah len to ji ka bojh halka ho hi jata hai
Shaz Tamkanat
un se milte the to sab kahte the kyun milte ho
ab yahi log na milne ka sabab puchhte hain
Shaz Tamkanat