e-KHabar phul ko bhi khinch ke patthar pe na mar
ki dil-e-sang mein KHwabida sanam hota hai
Shamim Karhani
ujha hai dil to na samjho ki bujh gaya gham bhi
ki ab charagh ke badle charagh ki lau hai
Shamim Karhani
chup hun tumhaara dard-e-mohabbat liye hue
sab puchhte hain tum ne zamane se kya liya
Shamim Karhani
lijiye bula liya aap ko KHayal mein
ab to dekhiye hamein koi dekhta nahin
now that I have invited you in my reverie
you can look upon me, none is there to see
Shamim Karhani
pine ko is jahan mein kaun si mai nahin magar
ishq jo banTta hai wo aab-e-hayat aur hai
Shamim Karhani