kabhi mai-kada kabhi but-kada kabhi kaba to kabhi KHanqah
ye teri talab ka junun tha mujhe kab kisi se lagaw tha
At times taverns, temples times, mosques and times, monasteries
`twas frenzy of my search for you, else when was I attached to these.
Shamim Abbas
koi aise waqt mein hum se bichhDa hai
sham Dhale jab panchhi ghar lauT aate hain
Shamim Abbas
sal, par sal, aur phir is sal
muntazir hum the muntazir hum hain
Shamim Abbas
TaTolo parakh lo chalo aazma lo
KHuda ki qasam ba-KHuda aadmi hun
Shamim Abbas
yaad aati hai achchhi si koi baat sar-e-sham
phir subh talak sochte rahte hain wo kya thi
Shamim Abbas