aankhen na jine dengi teri be-wafa mujhe
kyun khiDkiyon se jhank rahi hai qaza mujhe
Imdad Ali Bahr
afsos umr kaT gai ranj-o-malal mein
dekha na KHwab mein bhi jo kuchh tha KHayal mein
Imdad Ali Bahr
kya kya na mujh se sang-dili dilbaron ne ki
patthar paDen samajh pe na samjha kisi tarah
Imdad Ali Bahr
mera dil kis ne liya nam bataun kis ka
main hun ya aap hain ghar mein koi aaya na gaya
Imdad Ali Bahr
muddat se iltifat mere haal par nahin
kuchh to kaji hai dil mein ki sidhi nazar nahin
Imdad Ali Bahr
zahido dawat-e-rindan hai sharab aur kabab
kabhi maiKHane mein bhi roza-kushai ho jae
Imdad Ali Bahr
zalim hamari aaj ki ye baat yaad rakh
itna bhi dil-jalon ka satana bhala nahin
Imdad Ali Bahr