chehron ko pairon se kuchal kar aage baDh jaana
jit isi ko kahte hain to phir main haar gaya
Shahnawaz Zaidi
jo bhi aawe hai wo nazdik hi baiThe hai tire
shisha-e-chashm mein kis kis ko utara hua hai
Shahnawaz Zaidi
sahar hote hi jaise ret bhar jati hai sanson mein
nasim-e-hijr tere zaiqe achchhe nahin lagte
Shahnawaz Zaidi
titliyan phul mein kya DhunDhti rahti hain sada
kya kahin baad-e-saba rakh gai paigham tera
Shahnawaz Zaidi
us ki aankhon mein mohabbat ka guman tak nahin aaj
kaun si aag thi kal jis ka dhuan tak nahin aaj
Shahnawaz Zaidi
wo mere kase mein yaaden chhoD kar yun chal diya
jis tarah alfaz jate hon muani chhoD ka
Shahnawaz Zaidi
ye sukhe patte nahin zamane pe tabsire hain
shajar ne likh kar bikher di hain faza mein baaten
Shahnawaz Zaidi